CHECKOUT!! LOW Kbps Remixed DJ Version. Play and Free Download Most Trending Muharram-ul-Haram Special Shahadat Imam Hussain(AS) Noha Ya Ghareeb e Zahra Ringtone Mp3 For Your Android Phone and iPhone users to set call and SMS Ringtone. Better than Mobcup, Zedge, and Pagalworld.
Song: | Ya Ghareeb e Zehra |
Singer: | Ali Raza Surani |
Music: | AMU Studio |
Label: | Youtube |
Ya Ghareeb e Zehra
Ay mere Aaqa
Ay mere Maula
Nahi hai tujhsa
Koi bhi sachcha
Waada nana se kiya tha jo nibhaaya tune
Apna ghar Deen e Mohammed pe lutaaya tune
MiT gaya hota yeh islaam bachaaya tune
Jo kisi ne na kiya kar ke dikhaaya tune
Koi tujhsa na kabhi tha na abad tak hoga
Ya Ghareeb e Zahra
Pisar Zahra ke
Jigar Zahra ke
Samar Zahra ke
Qamar Zahra ke
YuN ujaDa Gaya Zahra ka Chaman wawaila
Tujhse chuDwaya Gaya Tera watan wawaila
Haye Woh dhoop ki shiddat woh tapan wawaila
Tere bachcho ko rakha tashna dahan wawaila
Zalimo ne tujhe mehmaan bula kar maara
Gira jab saqqa
Toh rooya darya
Kiya yeh naala
Ay shahe waala
Mere saahil pe gira aapka bhai Maula
Khoon mei doob Gaya haq ka fidai Maula
Tegh dhoke se laaeno ne chalai Maula
Jism se hoo gayi haaathoN ki judai maula
Gurz maara hai kisi ne toh kisi ne naiza
Ya Ghareeb e Zehra
Jigar pe naiza
LaaeN ne maara
Ali Akbar ka
Chida jab seena
EDiyaN khaak pe Akber ko ragaDte dekha
NaujawaaN Laal ki saasoN ko ukhaDte dekha
Haye armaano ki dunya ko ujaDte dekha
Apni peeri ke sahare ko bichaDte dekha
Yeh woh manzil thi jahaaN sabr bhi tujhpar rooya
Ali Asgher ka
Gala tha sukha
Woh nanha bachcha
Bohat pyaasa tha
Haae paani ke awez teer chalaya uss par
Munqalib hoo gaya haathoN pe padar ke Asghar
ASR e ashoor tha uss waqt bapa ek mehshar
Ambiyaa rooe haiN sar peet ke uss manzar par
Tune jab khoon Mala rukh pe Ali Asghar ka
Ya Ghareeb e Zehra
Chaagai hae Surani woh qayamat ki ghata
Zalzala Aane laga kaap uthi karbobala
Ab na baaqi hai Woh lashkar na alamdaar raha
Haae ghurbat mei koi bhi na madadgaar raha
Ay Ghareeb e Zehra - Ay Ghareeb e Zahra
Paaya jab dasht e bayabaan mei tanha tujhko
Fauj e aada ne har Ek samt se Ghera tujhko
Teer chalte the kahiN se toh kahiN se bhale
PasliyaN toD rahe the Teri naizo wale
Zeen par asp e wafadaar ki sambhla na gaya
AasmaaN sabr ka tewraake zameeN par aaya
Yak ba yak TuT paDi fauj jafa kaaroN ki
Har taraf dasht mei jhankaar thi talwaaroN ki
Shor tha badr ke badle ka hai mauqa logo
Gir gaya Haider e Qarar ka beta logo
Ab yeh tanha hai koi paas Nahi hai maaro
Khauf tha Jiska Woh Abbas Nahi hai maaro
Maarta tha koi naize se koi khanjar se
Koi talwaar koi teer koi patthar se
Jisko kuch bhi na Mila rett uthai usne
Zakhm pe jalti huwi rett girai usne
Hum na bhulenge woh manzar Maula
Hum na bhulenge woh Khanjar Maula
Shimr ka seene pe chaDna maula
Dard se Tera tarapna maula
Khushk gardan pe churi zaalim ki
Teri haalat pe hasi zaalim ki
Teri rukti huwi saaseiN maula
Mamta ki Woh karaheiN maula
Teri hamsheer ki ghamnaakh woh aaheiN maula
Teri dukhtar ki woh maayus nigaheiN maula
Yeh azadar Nahi bhulenge
Tere ghamkhaar Nahi bhulenge
Taa Abad Dil se Nahi hoga juda gham tera
Ya Ghareeb e Zehra