CHECKOUT!! LOW Kbps Remixed DJ Version. Play and Free Download Most Trending Muharram-ul-Haram Special Noha Rahe Salamat Ishq Noha Ringtone Mp3 For Your Android Phone and iPhone users to set call and SMS Ringtone. Better than Mobcup, Zedge, and Pagalworld.
Song: | RAHE SALAMAT ISHQ |
Singer: | IRFAN HAIDER |
hussain maula hussain
sina pe bol raha hai
hussain ibne ali
lahu me apne naha kar
hazaar sadme utha kar
yazidiyat ko mita kar
khuda ke deen ka parcham baland maine kiya
kisi yazeed me taaqat kahaan jhukaaye mujhe
safar ba noke sina par pasand maine kiya
sune ye saara zamaana hussain ki aawaaz
ash’hado an la elaha illalla
ash’hado anna mohammad ur rasulallah
ash’hado anna aliyun valiullah
qubul is liye neze ki nok ki maine
mera kata huwa sar dushmanon se past na ho
mein sar uthaaye huwe dushmanon se kehta hun
hussain hota wahi hai jise shikast na ho
mere azaadaaro ay mere ghamkhaaro
tumhaare azm ko mera salaam
maula hussain sarkaar farmaate hain
ye mera ishq hai jo lahu banke tumhaari ragon me daur raha hai
rahe salaamat ta qayaamat
rahe salaamat ishqe hussaini
range wafa dikhlaata hai
warna kaun kisi ki khaatir
apna khun bahaata hai
rahe salaamat ta qayaamat
rahe salamat ishqe hussaini
range wafa dikhlaata hai
ye kaale kapre jo zebe tan hain
ishqe hussaini ki hai daleel
jhule amaari taaziyadaari
sina zani paani ki sabil
ehle aza ko ye tehzeebe
ishqe hussain sikhaata hai
ye chote bachche aur shab bedaari
yun to bara mushkil hai safar
socho agar tum ahle zamana
ishqe hussaini ka hai asar
ishqe hussain hi in bachchon ko
farshe aza tak laata hai
dekho zara tum kaabe me jaakar
sirf musalmaan honge wahaan
farshe aza wo waahid jagah hai
apne paraaye sab hai jahaan
aata wahi hai farshe aza par
jisko hussain bulaata hai
wo jo bina-e farshe aza hai
ham hain usi bibi ki duaayen
ishqe hussaini tha uske dil me
aur ham ko virse me mila
jisko mila virse me ye maatam
ahle aza kehlaata hai
ishqe hussaini dil me basaa kar
zinda rakhi ghazi ne wafa
jis ne wafa ko zinda rakha hai
baali sakina ka hai chacha
usko dua deti hai sakina
jo bhi alam ko uthaata hai
ishqe hussaini se hain namazein
ishqe hussaini farshe aza
ishqe hussaini sholon pe chalne
sina zani zanjeer o kama
ishqe hussaini ki taaqat se
maatami khun me nahaata hai
suno mazhar o irfan
ay azaadaaraane man
yehi wo shohada-e karbala hain
jinhon ne halmin ki sada par labbaik kaha
aur mere iskq me apni jaanon ka nazraana pesh kiya